Wasi Shah

dukh dard mein hamesha nikale tumhaare KHat

Wasi Shah

1976
dukh dard meñ hamesha nikāle tumhāre ḳhat
aur mil ga.ī ḳhushī to uchhāle tumhāre ḳhat
sab chūḌiyāñ tumhārī samundar ko sauñp diiñ
aur kar diye havā ke havāle tumhāre ḳhat
mere lahū meñ guuñj rahā hai har ek lafz
maiñ ne ragoñ ke dasht meñ paale tumhāre ḳhat
yuuñ to haiñ be-shumār vafā kī nishāniyāñ
lekin har ek shai se nirāle tumhāre ḳhat
jaise ho umr bhar kā asāsa ġharīb kā
kuchh is tarah se maiñ ne sambhāle tumhāre ḳhat
ahl-e-hunar ko mujh pe 'vasī' e'tirāz hai
maiñ ne jo apne sher meñ Dhāle tumhāre ḳhat
parvā mujhe nahīñ hai kisī chāñd kī 'vasī'
zulmat ke dasht meñ haiñ ujāle tumhāre ḳhat
Top Urdushayar.com