marī vafā ne khilā.e the jo gulāb saare jhulas ga.e haiñ
tumhārī āñkhoñ meñ jis qadar the vo ḳhvāb saare jhulas ga.e haiñ
marī zamīñ ko kisī na.e hādse kā hai intizār shāyad
gunāh phalne lage haiñ ajr o savāb saare jhulas ga.e haiñ
jo tum ga.e to mirī nazar pe haqīqatoñ ke azaab utre
ye sochtā huuñ ki kyā karūñgā sarāb saare jhulas ga.e haiñ
ye mo.ajiza sirf ek shab kī masāfatoñ ke sabab huā hai
tumhāre aur mere darmiyāñ ke hijāb saare jhulas ga.e haiñ
use batānā ki us kī yādoñ ke saare safhe jalā chukā huuñ
kitāb-e-dil meñ raqam the jitne vo baab saare jhulas ga.e haiñ
nazar uThā.ūñ maiñ jis taraf bhī muhīb saa.e haiñ zulmatoñ ke
ye kyā ki mere nasīb ke māhtāb saare jhulas ga.e haiñ
tumhārī nazroñ kī ye tapish hai ki mere lafzoñ pe aable haiñ
savāl saare jhulas ga.e haiñ javāb saare jhulas ga.e haiñ
ye aag ḳhāmoshiyoñ kī kaisī tumhārī āñkhoñ meñ tairtī hai
tumhāre hoñToñ pe darj the jo nisāb saare jhulas ga.e haiñ