jhuk ga.ī jab ye anā tere dar-e-saffāk par
mujh se mat pūchho ki kyā guzrī dil-e-be-bāk par
is zamīñ se āsmāñ tak maiñ bikhartī hī ga.ī
ab na simTī to girūñgī ek din maiñ chaak par
maiñ rahī ik hijr meñ aur ek ab milne ko hai
jaan se maiñ yuuñ ga.ī to ḳhaak Daalo ḳhaak par
ab vahāñ phūTeñge phir se lāla-o-gul dekhnā
ho rahā hai ḳhuun kā chhiḌkāv arz-e-pāk par
ye tirī yādoñ ke jugnū yā ki aañsū haiñ mire
jo sitāre se chamakte haiñ mirī poshāk par
kyuuñ dayār-e-ġhair meñ murjhā ga.e chehroñ ke phuul
barf sī girtī rahī is dīda-e-nam-nāk par
jis tarah guzrī hai merī zindagānī kyā kahūñ
tū vahāñ baiThā hai phir kis ke liye aflāk par