to maiñ bhī ḳhush huuñ koī us se jā ke kah denā
agar vo ḳhush hai mujhe be-qarār karte hue
tumheñ ḳhabar hī nahīñ hai ki koī TuuT gayā
mohabbatoñ ko bahut pā.edār karte hue
maiñ muskurātā huā aa.ine meñ ubharūñgā
vo ro paḌegī achānak siñghār karte hue
mujhe ḳhabar thī ki ab lauT kar na ā.ūñgā
so tujh ko yaad kiyā dil pe vaar karte hue
ye kah rahī thī samundar nahīñ ye āñkheñ haiñ
maiñ in meñ Duub gayā e'tibār karte hue
bhañvar jo mujh meñ paḌe haiñ vo maiñ hī jāntā huuñ
tumhāre hijr ke dariyā ko paar karte hue