Khalish Kalkatvi

kahan se aana hai har aadmi yahan tanha

Khalish Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1918-1994
kahāñ se aanā hai har aadmī yahāñ tanhā
rulā ke ham ko chalā jaanā hai kahāñ tanhā
yazīd-e-asr ne gherā hai yuuñ mujhe jaise
muqāble meñ ho ik tere be-kamāñ tanhā
lage haiñ ḳheme vahīñ aaj kārvānoñ ke
gayā thā shahr meñ thak kar jahāñ jahāñ tanhā
ye kaun rahtā hai saa.e kī tarah saath mire
rah-e-talab meñ to maiñ huuñ ravāñ-davāñ tanhā
jo dekhiye mire hamdam haiñ mere saath magar
uThā rahā huuñ maiñ bār-e-ġham-e-jahāñ tanhā
suno jo kahte haiñ sargoshiyoñ meñ shahr ke log
amīr-e-shahr se kab maiñ huuñ bad-gumāñ tanhā
bujhāo jald tumhārī bhī varna ḳhair nahīñ
kabhī jalā hai chaman meñ ik āshiyāñ tanhā
ḳhalish kisī kā sahārā bane koī kyuuñ kar
yahāñ har ek kā honā hai imtihāñ tanhā
Top Urdushayar.com