Dhanpat Rai Thapar Raz

shor-e-atash jo phulon ki har anjuman mein hai

Dhanpat Rai Thapar Raz

shor-e-atash jo phūloñ kī har anjuman meñ hai
kaifiyyat-e-bahār kī shiddat chaman meñ hai
faiz-e-nasīm se haiñ khile gul ravish ravish
firdaus kī bahār hamāre chaman meñ hai
vo kaifiyat kahāñ hai mai-e-nau-kashīd meñ
jo lutf jo mazā ki sharāb-e-kuhan meñ hai
shahnāz-e-gul batā de zarā ahl-e-shauq ko
ḳhushbū ye kis badan kī tire pairahan meñ hai
'sāhir' ke faiz-o-lutf se kah letā hai ġhazal
ab 'rāz' kā shumār bhī ahl-e-suḳhan meñ hai
Top Urdushayar.com