Tajammul Hussain Akhtar

shikwa na ho tasalsul-e-ah-o-fughan rahe

Tajammul Hussain Akhtar

shikva na ho tasalsul-e-āh-o-fuġhāñ rahe
vo chāhte haiñ aag na bhaḌke dhuāñ rahe
lail-o-nahār pahle jo the ab kahāñ rahe
haañ yaad hai ki tum bhī kabhī mehrbāñ rahe
qurbat meñ aa paḌe the qayāmat ke fāsle
tanhā the ham to qaul-o-qasam darmiyāñ rahe
har gaam par haiñ dār-o-rasan kī sahūlateñ
ab jism-o-jāñ luTāo ki nām-o-nishāñ rahe
yuuñ muskurā ke tark-e-ta.alluq kī guftugū
aisā sitam ki jis pe karam kā gumāñ rahe
rāhoñ ke pech-o-ḳham meñ musāfir bikhar ga.e
ab kārvāñ qayām kare yā ravāñ rahe
ḳhushbū-e-pairahan meñ basā hai ruvāñ ruvāñ
vo ham se laakh duur rahe juzv-e-jāñ rahe
Top Urdushayar.com