ik taraf talab terī ik taraf zamāna hai
pūchhtā hai dil mujh se kis taraf ko jaanā hai
mere ghar vo aa.egā aaj ghar sajānā hai
is taraf kī chīzoñ ko us taraf lagānā hai
naqsh-hā-e-rañgīñ kā ik nigār-ḳhāna hai
zindagī haqīqat hai zindagī fasāna hai
jazba-e-junūn-e-ishq go bahut purānā hai
phir bhī tāza-tar hai ye phir bhī vālihāna hai
pā.eñge ḳhushī bhī ham ranj-o-ġham bhī jheleñge
is jahān meñ jab tak apnā āb-o-dāna hai
dushmanoñ ke ta.ane haiñ dostoñ kī tanqīdeñ
tiir saikaḌoñ haiñ aur ek dil nishāna hai
ātishīñ hai lahja bhī guftugū bhī bārūdī
sochiye 'shafīq' us se kis tarah nibhānā hai