ham aap qayāmat se guzar kyuuñ nahīñ jaate
jiine kī shikāyat hai to mar kyuuñ nahīñ jaate
katrāte haiñ bal khāte haiñ ghabrāte haiñ kyuuñ log
sardī hai to paanī meñ utar kyuuñ nahīñ jaate
āñkhoñ meñ namak hai to nazar kyuuñ nahīñ aatā
palkoñ pe guhar haiñ to bikhar kyuuñ nahīñ jaate
aḳhbār meñ rozāna vahī shor hai yaanī
apne se ye hālāt sañvar kyuuñ nahīñ jaate
ye baat abhī mujh ko bhī mālūm nahīñ hai
patthar idhar aate haiñ udhar kyuuñ nahīñ jaate
terī hī tarah ab ye tire hijr ke din bhī
jaate nazar aate haiñ magar kyuuñ nahīñ jaate
ab yaad kabhī aa.e to ā.īne se pūchho
'mahbūb-ḳhizāñ' shaam ko ghar kyuuñ nahīñ jaate