ḳhvāb se parda karo dekho mat
ab agar dekh sako dekho mat
girte shahtīroñ ke jañgal haiñ ye shahr
chup raho chalte raho dekho mat
jhuuT sach donoñ hī ā.īne haiñ
us taraf koī na ho dekho mat
husn kyā ek chaman ik kohrām
tez-o-āhista chalo dekho mat
pañkhuḌī ek parat aur parat
kyuuñ bakheḌe meñ paḌho dekho mat
har kalī ek bhañvar ik bādal
khel meñ khel na ho dekho mat
ye purānī ye anokhī ḳhushbū
kuchh din āvāra phiro dekho mat
har taraf dekhne vaalī āñkheñ
un ke saa.e se bacho dekho mat
kam-libāsī ho gila yā isrār
be-ḳhabar jaise raho dekho mat
āfiyat is meñ hai ġhāfil guzro
mat nigāhoñ se giro dekho mat
keñchulī haT ga.ī zinda resham
phir ye kahtā hai haTo dekho mat
dekhte dekhte manzar hai kuchh aur
dhuul āñkhoñ meñ bharo dekho mat
sat.h ke nīche hai kyā jaane kaun
lahr kī lai pe baḌho dekho mat
ek hī jal hai yahāñ māyā-jal
pyaas ke jaal buno dekho mat