sambhālne se tabī.at kahāñ sambhaltī hai
vo be-kasī hai ki duniyā ragoñ meñ chaltī hai
ye sard-mehr ujālā ye jītī-jāgtī raat
tire ḳhayāl se tasvīr-e-māh jaltī hai
vo chaal ho ki badan ho kamān jaisī kashish
qadam se ghaat adā se adā nikaltī hai
tumheñ ḳhayāl nahīñ kis tarah batā.eñ tumheñ
ki saañs chaltī hai lekin udaas chaltī hai
tumhāre shahr kā insāf hai ajab insāf
idhar nigāh udhar zindagī badaltī hai
bikhar ga.e mujhe sāñche meñ Dhālne vaale
yahāñ to zaat bhī sāñche samet Dhaltī hai
ḳhizāñ hai hāsil-e-hañgāma-e-bahār 'ḳhizāñ'
bahār phūltī hai kā.enāt phaltī hai