koī qarīb na aa.e shikasta-pā huuñ maiñ
karam to hai magar anjām dekhtā huuñ maiñ
mirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDne vaale
tirī nigāh meñ kuchh aur DhūñDtā huuñ maiñ
zamāna der-farāmosh to nahīñ itnā
ye Thiik hai ki bahut der-āshnā huuñ maiñ
ġhalat nahīñ vo jo shikve ab aap ko hoñge
badal gayā hai zamāna badal gayā huuñ maiñ
mujhe satāo nahīñ zindagī nigāh meñ hai
fareb khaao nahīñ tum ko jāntā huuñ maiñ
mirā ġhurūr-e-mohabbat ki maiñ nahīñ samjhā
tirī nazar ne kahā thā ki dilrubā huuñ maiñ