hai dhūp-chhāñv kī mānind zindagī merī
sabāt-e-ġham ko nahīñ aarzī ḳhushī merī
usī ko ab mirī har baat zahr lagtī hai
kabhī pasand na thī jis ko ḳhāmushī merī
tirī nazar kā sahārā baḌā sahārā thā
jahāñ meñ kar na sakā koī hamsarī merī
kabhī gunāh kabhī hasrat-e-gunāh kā ġham
tamām karb-e-musalsal hai zindagī merī
maiñ dil kā haal usī ko sunātā rahtā huuñ
chhupī na jis se koī baat an-kahī merī
maiñ misl-e-kirmak shab-tāb jaltā rahtā huuñ
kisī ke kaam to aa.egī raushnī merī
jo mere ḳhadsha-e-fardā pe ḳhanda-zan haiñ 'ḳhalish'
mirī duā hai mile un ko aa ga.ī merī