aa.ine kahte haiñ is ḳhvāb ko rusvā na karo
aise kho.e hue andāz se dekhā na karo
kaise aa jaatī hai koñpal pe ye jaadū kī lakīr
din guzar jaate haiñ mahsūs karo yā na karo
kahīñ dīvār-e-qayāmat kabhī zanjīr-e-azal
kyā karo ishq-e-ziyāñ-e-kesh meñ aur kyā na karo
bhāgte jaao kisī samt kisī saa.e se
tazkira ek hai afsāna-dar-afsāna karo
phir koī taaza gharauñdā kisī vīrāne meñ
gaañv ko shahr karo shahr ko vīrāna karo
bazm-e-imkāñ huī do ghūñT lahū āñkhoñ meñ
hirs kahtī hai ki kaunain ko paimāna karo
kyuuñ na ho mujh se shikāyat tumhīñ tum vo ho ki phir
use jiitā bhī na chhoḌo jise dīvāna karo
ek hī raat sahī phuul to khulte haiñ 'ḳhizāñ'
maut meñ kyā hai ki jiine kī tamannā na karo