hasrat-e-āb-o-gil dobāra nahīñ
dekh duniyā nahīñ hamesha nahīñ
sochne kā koī natīja nahīñ
saaya hai e'tibār-e-sāya nahīñ
sāda-kārī ka.ī parat ka.ī rañg
sādgī ik adā-e-sādā nahīñ
achchhe lagte haiñ achchhe log mujhe
jo samajhte haiñ un se parda nahīñ
maiñ kahīñ aur kis tarah jā.ūñ
tū kisī aur ke alāva nahīñ
tujh se bhāge sukūn se bhāge
sar-garāñ haiñ ki dil-girafta nahīñ
raat zanjīr sī qadam-ba-qadam
ek manzil hai koī jaada nahīñ
husn to ho chalā zamāna-shanās
ishq kā bhī koī bharosa nahīñ
sunte haiñ ik jazīra hai ki jahāñ
ye balā-e-havās-e-ḳhamsa nahīñ
ai sitāro kise pukārte ho
is ḳharābe meñ koī zinda nahīñ
chāñdnī kheltī hai paanī se
itnī barsāt hai ki sabza nahīñ
kaise be-dard haiñ ki joḌte haiñ
naram alfāz jin meñ rishta nahīñ
kahīñ ījād mahz be-mafhum
kahīñ mafhūm hai to lahja nahīñ
kahīñ tasvīr nāk-naqshe baġhair
kahīñ dīvār hai darīcha nahīñ
un se kāġhaz meñ jaan kaise paḌe
jin kī āñkhoñ meñ aks-e-tāza nahīñ
dushmanī hai to dushmanī hī sahī
maiñ nahīñ yā dukān-e-shīsha nahīñ
ḳhaak se kis ne uThte dekhī hai
vo qayāmat ki isti.āra nahīñ
kabhī har saañs meñ zamān-o-makāñ
kabhī barsoñ meñ ek lamha nahīñ
bekalī taar kastī jaa.e 'ḳhizāñ'
hasrat-e-āb-o-gil dobāra nahīñ