dekh dariyā hai kināre ko sambhāl
ye mohabbat ye mohabbat kā zavāl
is zamāne ko taras jā.eñge ham
aah ye tishnagī-e-hijr-o-visāl
mīThī bātoñ se adā jāgtī hai
naram āñkhoñ meñ sañvarte haiñ ḳhayāl
zaḳhm bigḌe to badan kaaT ke pheñk
varna kāñTā bhī mohabbat se nikāl
aap kī yaad bhī aa jaatī hai
itnī mahrūm nahīñ bazm-e-ḳhayāl
ḳhat jo aayā hai unhīñ kā hogā
haañ zarā aaj tabī.at thī bahāl
haa.e phir fasl-e-bahār aa.ī 'ḳhizāñ'
kabhī marnā kabhī jiinā hai muhāl