har baat yahāñ baat baḌhāne ke liye hai
ye umr jo dhokā hai to khāne ke liye hai
ye dāman-e-hasrat hai vahī ḳhvāb-e-gurezāñ
jo apne liye hai na zamāne ke liye hai
utre hue chehre meñ shikāyat hai kisī kī
rūThī huī rañgat hai manāne ke liye hai
ġhāfil tirī āñkhoñ kā muqaddar hai añdherā
ye farsh to rāhoñ meñ bichhāne ke liye hai
ghabrā na sitam se na karam se na adā se
har moḌ yahāñ raah dikhāne ke liye hai