mohabbat ko gale kā haar bhī karte nahīñ bantā
kuchh aisī baat hai inkār bhī karte nahīñ bantā
ḳhulūs-e-nāz kī tauhīn bhī dekhī nahīñ jaatī
shu.ūr-e-husn ko bedār bhī karte nahīñ bantā
tujhe ab kyā kaheñ ai mehrbāñ apnā hī ronā hai
ki saarī zindagī īsār bhī karte nahīñ bantā
sitam dekho ki us be-dard se apnī laḌā.ī hai
jise sharminda-e-paikār bhī karte nahīñ bantā
adā ranjīdagī parvāngī āñsū-bharī āñkheñ
ab itnī sādgī kyā pyaar bhī karte nahīñ bantā
javānī mehrbānī husn bhī achchhī musībat hai
use achchhā use bīmār bhī karte nahīñ bantā
bhañvar se jī bhī ghabrātā hai lekin kyā kiyā jaa.e
tavāf-e-mauj-e-kam-raftār bhī karte nahīñ bantā
isī dil ko bharī duniyā ke jhagḌe jhelne Thahre
yahī dil jis ko duniyā-dār bhī karte nahīñ bantā
jalātī hai diloñ ko sard-mehrī bhī zamāne kī
savāl-e-garmī-e-bāzār bhī karte nahīñ bantā
'ḳhizāñ' un kī tavajjoh aisī nā-mumkin nahīñ lekin
zarā sī baat par isrār bhī karte nahīñ bantā