husn se haT ke mohabbat kī nazar jaa.e kahāñ
koī manzil na mile rāhguzar jaa.e kahāñ
tum bahut duur ho ham bhī koī nazdīk nahīñ
dil kā kyā Thiik hai kam-baḳht Thahar jaa.e kahāñ
dekhiye ḳhvāb-e-sahar chāTiye dīvār-e-azal
raat jaatī nazar aatī hai magar jaa.e kahāñ
ruḳh-e-sahrā hai 'ḳhizāñ' ghar kī taraf muddat se
ham jo sahrā kī taraf jaa.eñ to ghar jaa.e kahāñ