Mahboob Khizan

sabab talash na kar bas yunhi hai ye duniya

Mahboob Khizan

Ballia, Uttar pradesh, India

1930-2013
sabab talāsh na kar bas yūñhī hai ye duniyā
vahī bahut hai jo kuchh jāntī hai ye duniyā
khulat meñ band haiñ koñpal ke sote jāgte rañg
parat parat meñ na.ī dilkashī hai ye duniyā
ulajhte rahne meñ kuchh bhī nahīñ thakan ke sivā
bahut haqīr haiñ ham tum baḌī hai ye duniyā
ye log saañs bhī lete haiñ zinda bhī haiñ magar
har aan jaise inheñ roktī hai ye duniyā
bahut dinoñ to ye sharmindagī thī shāmil-e-hāl
hamīñ ḳharāb haiñ achchhī bhalī hai ye duniyā
hare-bhare raheñ tere chaman tire gulzār
harā hai zaḳhm-e-tamannā bharī hai ye duniyā
tum apnī lahr meñ ho aur kisī bhañvar kī tarah
maiñ dūsrā huuñ koī tīsrī hai ye duniyā
vo apne saath bhī rahte haiñ chup bhī rahte haiñ
jinheñ ḳhabar hai ki kyā bechtī hai ye duniyā
'ḳhizāñ' na soch ki biktī hai kyuuñ badan kī bahār
samajh ki ruuh kī saudā-garī hai ye duniyā
Top Urdushayar.com