haal aisā nahīñ ki tum se kaheñ
ek jhagḌā nahīñ ki tum se kaheñ
zer-e-lab aah bhī muhāl huī
dard itnā nahīñ ki tum se kaheñ
tum zuleḳhā nahīñ ki ham se kaho
ham masīhā nahīñ ki tum se kaheñ
sab samajhte haiñ aur sab chup haiñ
koī kahtā nahīñ ki tum se kaheñ
kis se pūchheñ ki vasl meñ kyā hai
hijr meñ kyā nahīñ ki tum se kaheñ
ab 'ḳhizāñ' ye bhī kah nahīñ sakte
tum ne pūchhā nahīñ ki tum se kaheñ