'ḳhizāñ' meñ ḳhūbiyāñ aaise bahut haiñ
ḳharābī ek hai bante bahut haiñ
koī rasta kahīñ jaa.e to jāneñ
badalne ke liye raste bahut haiñ
na.ī duniyā ke sundar ban ke andar
purāne vaqt ke paude bahut haiñ
hue jab se zamāne bhar ke ham-rāh
ham apne saath bhī thoḌe bahut haiñ
lagāvaT hai sitāroñ se purānī
raqābat hai magar milte bahut haiñ
bahut hogā to ye sochoge shāyad
ki ham bhī the yahāñ jaise bahut haiñ
hai sab sūrat kā chakkar, ḳhvāb ma.anī
dikhā.e haiñ bahut dekhe bahut haiñ
jasārat dil meñ kyā ho fan meñ kyā ho
mulāzim-pesha haiñ Darte bahut haiñ
kisī se kyuuñ ulajhte kyā ulajhte
ye dhāge ḳhud-ba-ḳhud uljhe bahut haiñ
thakan chāroñ taraf hai chalte jaao
pahuñchtā kaun hai chalte bahut haiñ
ḳhafā ham se na ho ai chashm-e-jānāñ
ham is andāz par marte bahut haiñ
kaho ye bhī 'ḳhizāñ' kahne se pahle
jo kahte kuchh nahīñ kahte bahut haiñ