Mahboob Khizan

ye jo hum kabhi kabhi sochte hain raat ko

Mahboob Khizan

Ballia, Uttar pradesh, India

1930-2013
ye jo ham kabhī kabhī sochte haiñ raat ko
raat kyā samajh sake in muāmlāt ko
husn aur najāt meñ fasl-e-mashriqain hai
kaun chāhtā nahīñ husn ko najāt ko
ye sukūn-e-be-jihat ye kashish ajiib hai
tujh meñ band kar diyā kis ne shash-jahāt ko
sāhil-e-ḳhayāl par kahkashāñ kī chhūT thī
ek mauj le ga.ī in tajalliyāt ko
aañkh jab uThe bhar aa.e sher ab kahā na jaa.e
kaise bhuul jaa.e vo bhūlne kī baat ko
dekh ai mirī nigāh tū bhī hai jahāñ bhī hai
kis ne bā-ḳhabar kiyā dūsre kī zaat ko
kyā ai mirī nigāh tū bhī hai jahāñ bhī hai
kis ne bā-ḳhabar kahā dūsre kī zaat ko
kyā huiiñ rivāyateñ ab haiñ kyuuñ shikāyateñ
ishq-e-nā-murād se husn-e-be-sabāt ko
ai bahār-e-sar-girāñ tū ḳhizāñ-nasīb hai
aur ham taras ga.e tere iltifāt ko
Top Urdushayar.com