bhuuk se bachche bilakte haiñ na jaane kitne
aur paanī meñ bahā dete haiñ daane kitne
ik tamannā kā huā ḳhuun to kyā ġham ai dost
dafn haiñ siine meñ armān na jaane kitne
kabhī auroñ kī kabhī apnī himāqat ke tufail
haath aate rahe hañsne ke bahāne kitne
zindagī ek haqīqat bhī hai afsāna bhī
har galī-kūche meñ bikhre haiñ fasāne kitne
ik gul-e-tāza kī taḳhlīq meñ ai gulchīno
jaane qudrat ne luTā.e haiñ ḳhazāne kitne
merī rūdād ko sab apnā fasāna samjhe
ik fasāne meñ haiñ poshīda fasāne kitne
hausla baḳhshā hai jiine kā unhī ḳhvāboñ ne
ham ne dekhe haiñ 'ḳhalish' ḳhvāb suhāne kitne