juz qurbat-e-jāñ parda-e-jāñ koī nahīñ thā
vo thā to vahāñ aur jahāñ koī nahīñ thā
thā ek ḳhayāl aur ḳhayāl-e-ruḳh-e-jānāñ
vo vāhima-e-vahm-o-gumāñ koī nahīñ thā
ik sā.at-e-sad-sāl meñ Thahrā thā kahīñ dil
phir qāfila-e-umr-e-ravāñ koī nahīñ thā
thā koī vahāñ jo hai yahāñ bhī hai vahāñ bhī
jo huuñ maiñ yahāñ huuñ maiñ vahāñ koī nahīñ thā
sad-shukr zamāne ko na thā gosh-e-samā.at
ham ko bhī magar rabt-e-zabāñ koī nahīñ thā