ravayye maar dete haiñ ye lahje maar dete haiñ
vahī jo jaan se pyāre haiñ rishte maar dete haiñ
kabhī barsoñ guzarne par kahīñ kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī aisā bhī hotā hai ki lamhe maar dete haiñ
kahānī ḳhatm hotī hai kabhī anjām se pahle
adhūre nā-mukammal se ye qisse maar dete haiñ
kabhī manzil pe jaane ke nishāñ tak bhī nahīñ milte
jo rastoñ meñ bhaTak jaa.eñ to raste maar dete haiñ
mujhe aksar ye lagtā hai ki jaise huuñ nahīñ huuñ maiñ
mujhe hone na hone ke ye ḳhadshe maar dete haiñ
bahut ehsāñ jatāne se ta.alluq TuuT jaatā hai
bahut īsār-o-qurbānī ke jazbe maar dete haiñ
kabhī tūfāñ kī zad se bhī safīne bach nikalte haiñ
kabhī sālim safīnoñ ko kināre maar dete haiñ
jo āñkhoñ meñ raheñ 'nuz.hat' vahī to ḳhvāb achchhe haiñ
jinheñ ta.abīr mil jaa.e vo sapne maar dete haiñ