hamārī sāda-dilī thī tumhārī baat nahīñ
hamīñ meñ koī kamī thī tumhārī baat nahīñ
hamāre apne hī dukh the hamīñ ko ronā thā
tumhārī apnī ḳhushī thī thī tumhārī baat nahīñ
azaab saare jujūn-o-ḳhirad ke mere the
tumheñ to be-ḳhabarī thī tumhārī baat nahīñ
tumhārī baat hī māneñge aur nibhā.eñge
ye baat tum ne kahī thī tumhārī baat nahīñ
bahut tavīl thī muddat firāq lamhoñ kī
kahāñ pe aa ke rukī thī tumhārī baat nahīñ
sitāre jaise falak se utar ke aa.e the
hathelī jal ke bujhī thī tumhārī baat nahīñ
vo zikr thā kisī bārish kī raat kā shāyad
nazar meñ aa ke rukī thī tumhārī baat nahīñ