lamhe shumār zaat bhī karne nahīñ diye
puure ye vājibāt bhī karne nahīñ diye
pesh-e-nazar haiñ apne muqaddar kī talḳhiyāñ
un se mutālibāt bhī karne nahīñ diye
badle jo harf lafz ke ma.anī badal ga.e
mahfūz vāqi.āt bhī karne nahīñ diye
duniyā ke sānehāt ne dil ko rulā diyā
tahrīr hādsāt bhī karne nahīñ diye
mausam na.e the dil ke kañval kyuuñ na khul sake
kuchh ahd-e-iltifāt bhī karne nahīñ diye
miltī koī kalīd hī irfān-e-zāt kī
duniyā ne tajrabāt bhī karne nahīñ diye