jal ke raakh hone kī koshisheñ nahīñ hotīñ
der-pā bahut dil kī ḳhvāhisheñ nahīñ hotīñ
ḳhud-ba-ḳhud hī khulte haiñ dil meñ phuul ḳhushiyoñ ke
dil ko shaad rakhne kī kāvisheñ nahīñ hotīñ
dost bhī safoñ meñ haiñ aur apne dushman bhī
kāmyāb phir kaise sāzisheñ nahīñ hotīñ
taḳht-o-tāj māñge se kab kisī ko miltā hai
dil kī bādshāhī meñ baḳhshisheñ nahīñ hotīñ
ek justujū dil ko muztarib sī rakhtī hai
be-sabab to qismat kī gardisheñ nahīñ hotīñ
haal apnā aa ke ḳhud vo hamīñ ko batlā.eñ
ham se un kī jā ke to pursisheñ nahīñ hotīñ
mo.ajizoñ pe zinda haiñ aur duā.eñ karte haiñ
hijratoñ ke mausam meñ bārisheñ nahīñ hotīñ