Nuzhat Abbasi

rawayye mar dete hain ye lahje mar dete hain

Nuzhat Abbasi

Karachi, Sindh, Pakistan

ravayye maar dete haiñ ye lahje maar dete haiñ
vahī jo jaan se pyāre haiñ rishte maar dete haiñ
kabhī barsoñ guzarne par kahīñ bhī kuchh nahīñ hotā
kabhī aisā bhī hotā hai ki lamhe maar dete haiñ
kabhī manzil pe jaane ke nishāñ tak bhī nahīñ milte
jo rastoñ meñ bhaTak jaa.eñ to raste maar dete haiñ
kahānī ḳhatm hotī hai kabhī anjām se pahle
adhūre nā-mukammal se ye qisse maar dete haiñ
hazāroñ vaar duniyā ke sahe jaate haiñ hañs hañs ke
magar apnoñ ke ta.ane aur shikve maar dete haiñ
mujhe aksar ye lagtā hai ki jaise huuñ nahīñ huuñ maiñ
mujhe hone na hone ke ye ḳhadshe maar dete haiñ
kabhī marne se pahle bhī bashar ko marnā paḌtā hai
yahāñ jiine ke milte haiñ jo sadme maar dete haiñ
bahut ehsān jatāne se ta.alluq TuuT jaatā hai
bahut īsār-o-qurbānī ke jazbe maar dete haiñ
kabhī tūfāñ kī zad se bhī safīne bach nikalte haiñ
kabhī sālim safīnoñ ko kināre maar dete haiñ
vo hissa kaaT Daalā zahr kā ḳhadsha rahā jis meñ
jo baaqī rah ga.e mujh meñ vo hisse maar dete haiñ
jo āñkhoñ meñ raheñ 'nuzhat' vahī to ḳhvāb achchhe haiñ
jinheñ ta.abīr mil jaa.e vo sapne maar dete haiñ
Top Urdushayar.com