Nuzhat Abbasi

raste mein sham ho gai ghar jaun kya karun

Nuzhat Abbasi

Karachi, Sindh, Pakistan

raste meñ shaam ho ga.ī ghar jā.ūñ kyā karūñ
ik qarz hai safar meñ ye bhar jā.ūñ kyā karūñ
kachchā mirā makān thā bārish meñ bah gayā
sail-e-ravāñ meñ ḳhud bhī utar jā.ūñ kyā karūñ
vāpas vahīñ pe rasta mujhe le ke aa gayā
maiñ aage chal paḌūñ ki Thahar jā.ūñ kyā karūñ
dar to khule hue haiñ na mehmāñ na mezbāñ
ghabrā ke sochtī huuñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ
qātil tujhe bachā gayā munsif kā faisla
fariyād kis se ho maiñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ
taskīn us kī jaañ ko milegī usī tarah
raste pe ḳhaak ban ke bikhar jā.ūñ kyā karūñ
duniyā bulā rahī hai mujhe diiñ hai ik taraf
jā.ūñ maiñ is taraf ki idhar jā.ūñ kyā karūñ
us kī razā pe ḳhush huuñ rakhe jis bhī haal meñ
us kī razā pe kuchh bhī maiñ kar jā.ūñ kyā karūñ
Top Urdushayar.com