āḳhirī manzar ajab āñkhoñ meñ hai
jaise sadiyoñ kā safar lamhoñ meñ hai
lamha lamha sāz-e-dil ḳhāmosh sā
ik sadā bas gūñjtī kānoñ meñ hai
zindagī uljhā huā ik silsila
phāñs ik chubhtī huī sāñsoñ meñ hai
rabt-e-jāñ kā jism se TuuTā huā
chhūTtā dāman tirā hāthoñ meñ hai
kuchh fasāne yaad kuchh bhūle hue
ḳhvāb sī ik shakl bhī āñkhoñ meñ hai