Nuzhat Abbasi

ungliyon se miTTi mein suraten banate ho

Nuzhat Abbasi

Karachi, Sindh, Pakistan

uñgliyoñ se miTTī meñ sūrateñ banāte ho
ik jahāñ banāte ho ik jahāñ miTāte ho
ḳhaak se dobāra kyā āsmāñ banā loge
āsmāñ ko tum aise ḳhaak meñ milāte ho
kyā azal se pahle thā kyā abad se aage hai
dekhte haiñ ye parda kab kahāñ girāte ho
kār-gāh-e-hastī meñ jab fanā muqaddar hai
phir fanā ke aalam ko kaise bhuul jaate ho
merī be-gharī kā bhī aaj mājrā sun lo
ūñche ūñche mahloñ kī dāstāñ sunāte ho
zaḳhm jin ko dete ho pattharoñ kī bārish se
pairahan se kyuuñ un ke phir alam banāte ho
munsifī ke aa.iiñ ko tum ne hī to likkhā hai
sar jo jhuk nahīñ saktā us ko kaaT laate ho
Top Urdushayar.com