Kishwar Naheed

apne lahu se nam likha ghair ka bhi dekh

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
apne lahū se naam likhā ġhair kā bhī dekh
zinda hai to shaqāvat-e-dasht-e-balā bhī dekh
āñkhoñ ke ā.īnoñ kā to paanī utar gayā
ab jism chob-e-ḳhushk hai ye sāneha bhī dekh
hotī hai zindagī kī harārat ragoñ meñ sard
sūkhe hue badan pe ye chamḌā kasā bhī dekh
betābiyoñ ko siine ke andar sameT le
fitne ko apnī had se musalsal baḌhā bhī dekh
har zarra ibratoñ ke samundar kī shakl hai
sahrā-navard-e-shauq kabhī naqsh-e-pā bhī dekh
pahchān apnī ho to mile manzil-e-murād
'nāhīd' gaahe gaahe sahī aa.ina bhī dekh
Top Urdushayar.com