dard-o-ġham kī hikāyateñ mat pūchh
dil pe guzrī qayāmateñ mat pūchh
saarī koshish hai be-husūl tirī
zaḳhm-e-dil kī jarāhateñ mat pūchh
ik nazar meñ na jaane kyā dekhā
ham se āñkhoñ kī hairateñ mat pūchh
zarre zarre meñ hai tirī sūrat
ham se apnī shabāhateñ mat pūchh
ham ne sadiyāñ guzār diiñ is meñ
ek pal kī rifāqateñ mat pūchh
yaad rakhnā to hai kamāl tirā
bhuul jaane kī ādateñ mat pūchh
hai mohabbat to e'tibār bhī kar
har amal kī vazāhateñ mat pūchh