Nuzhat Abbasi

ye aur baat jigar laKHt-laKHt ho jata

Nuzhat Abbasi

Karachi, Sindh, Pakistan

ye aur baat jigar laḳht-laḳht ho jaatā
us ek pal ke liye dil bhī saḳht ho jaatā
huzūr-e-shah sar-e-taslīm ḳham jo kar dete
banā hai aaj jo taḳhta vo taḳht ho jaatā
nasīb kātib-e-taqdīr hī to likhtā hai
hamārā likkhā huā kaise baḳht ho jaatā
phir is ke baa'd sabhī manzileñ hamārī thiiñ
ye hausla hī safar kā jo raḳht ho jaatā
use bhī chuus ga.ī zard bail furqat kī
mohabbatoñ kā vo paudā daraḳht ho jaatā
Top Urdushayar.com