Nuzhat Abbasi

dil ko phir banane mein waqt chahiye kuchh to

Nuzhat Abbasi

Karachi, Sindh, Pakistan

dil ko phir banāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
kirchiyāñ uThāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
saath vo nahīñ pal kā umr bhar kā lagtā thā
us ko ab bhulāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
is qadar nahīñ āsāñ jitnā ham ne samjhā thā
hāl-e-dil sunāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
tinkā tinkā chun chun kar ham ne jo banāyā thā
āshiyāñ jalāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
aañkh kā samundar se kuchh ajiib rishta hai
sail-e-ġham bahāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
dard-e-dil baḌhāne ko ek lamha kaafī hai
dard-e-dil ghaTāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
phir palaT ke jaane kī ham na rakheñ ḳhvāhish bhī
kashtiyāñ jalāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
zaḳhm jo purāne haiñ un ko ham rafū kar leñ
phir fareb khāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
jab vajūd kā rishta had pe maut kī pahuñche
paar us ke jaane meñ vaqt chāhiye kuchh to
Top Urdushayar.com