ġhazab hai justujū-e-dil kā ye anjām ho jaa.e
ki manzil duur ho aur rāste meñ shaam ho jaa.e
vahī naala vahī naġhma bas ik tafrīq-e-lafzī hai
qafas ko muntashir kar do nasheman naam ho jaa.e
tasadduq ismat-e-kaunain us majzūb-e-ulfat par
jo un kā ġham chhupā.e aur ḳhud bad-nām ho jaa.e
ye aalam ho to un ko be-hijābī kī zarūrat kyā
naqāb uThne na paa.e aur jalva aam ho jaa.e
ye merā faisla hai aap mere ho nahīñ sakte
maiñ jab jānūñ ki ye jazba mirā nākām ho jaa.e
abhī to dil meñ halkī sī ḳhalish mahsūs hotī hai
bahut mumkin hai kal is kā mohabbat naam ho jaa.e
jo merā dil na ho 'sherī' harīf un kī nigāhoñ kā
to duniyā bhar meñ barpā inqalāb-e-ām ho jaa.e