hameñ dekhā na kar uḌtī nazar se
umīdoñ ke nikal aate haiñ par se
ab un kī raakh palkoñ par jamī hai
ghaḌī bhar ḳhvāb chamke the sharar se
bachāne meñ lagī hai ḳhalq mujh ko
maiñ zaa.e.a ho rahā huuñ is hunar se
vo lahja-hā-e-dariyā-e-suḳhan meñ
musalsal bante rahte haiñ bhañvar se
samundar hai koī āñkhoñ meñ shāyad
kināroñ par chamakte haiñ guhar se
tavaqqo hai unheñ us abr se jo
dikhā.ī de idhar us or barse
zarā imkān kyā dekhā namī kā
nikal aa.e shajar dīvār-o-dar se
raqam dil par huā kyā kyā na pūchho
bayāñ honā hai ye qissa nazar se
sambhalte hī nahīñ ham se 'bakul' ab
bache haiñ din yahāñ jo muḳhtasar se