bār-e-dīgar ye falsafe dekhūñ
zaḳhm phir se hare-bhare dekhūñ
ye basīrat ajab basīrat hai
ā.inoñ meñ bhī aa.ine dekhūñ
zāviyoñ se agar najāt mile
saare manzar ghule-mile dekhūñ
nazm karnā hai be-hisābī ko
lafz saare nape-tule dekhūñ
āḳhir āḳhir jo dāstāñ na bane
avval avval vo vāqiye dekhūñ
dūriyāñ dhund ban ke bikhrī haiñ
kuchh qarīb aa ki fāsle dekhūñ
ek nashsha hai ḳhud-numā.ī bhī
jo ye utre to phir tujhe dekhūñ
le gayā vo bachī-khuchī nīndeñ
ḳhvāb kaise rahe-sahe dekhūñ
raat phailī huī hai mīloñ tak
kyā charāġhoñ ke dā.ere dekhūñ