samā.at ke liye ik imtihāñ hai
ḳhamoshī in dinoñ misl-e-bayāñ hai
safar apne hī bhītar kar rahā huuñ
mirā Thahrāv muddat se ravāñ hai
havas shāmil hai thoḌī sī duā meñ
abhī is lau meñ halkā sā dhuāñ hai
nayā ik ḳhvāb dekheñ aur ro.eñ
ab itnī taab āñkhoñ meñ kahāñ hai
uḌā detī hai apnī ḳhaak jab tab
zamīñ kī justujū bhī āsmāñ hai
tabhī aahoñ ke sur uThte haiñ is se
hamārā soz-e-jāñ hī sāz-e-jāñ hai
hamesha duur se dekhā kiyā huuñ
jahāñ mujh ko javāhir kī dukāñ hai
mirā kirdār is meñ ho gayā gum
tumhārī yaad bhī ik dāstāñ hai
mohabbat ek kashtī muḳhtasar sī
tamannāoñ kā dariyā be-karāñ hai
maiñ saare fāsle tai kar chukā huuñ
ḳhudī jo darmiyāñ thī darmiyāñ hai
'bakul' ḳhvāboñ ke panchhī aa base haiñ
hamārā āshiyāñ ab āshiyāñ hai