dil se be-sūd aur jaañ se ḳharāb
ho rahā huuñ kahāñ kahāñ se ḳharāb
ġham kī dahlīz hai bhalī kitnī
koī uThtā nahīñ yahāñ se ḳharāb
maiñ mirā aks aur ā.īna
ye nazāra thā darmiyāñ se ḳharāb
ḳhud ko ta.amīr karte karte maiñ
ho gayā huuñ yahāñ vahāñ se ḳharāb
raushnī ik haqīr taare kī
aa ga.ī ho ke kahkashāñ se ḳharāb
zer-e-lab rakh chhupā ke naam us kā
lafz hote haiñ kuchh bayāñ se ḳharāb
ek muddat se huuñ maiñ munkir-e-ishq
aa mujhe kar de apnī haañ se ḳharāb
rañg nikhre haiñ phir vahīñ pe 'bakul'
merī tasvīr thī jahāñ se ḳharāb