baat bigḌī huī banī sī rahī
jaañ nahīñ niklī jāñkanī sī rahī
baat khiñchtī chalī ga.ī dil se
umr bhar phir tanā tanī sī rahī
husn-e-shab sub.h-dam Dhalā lekin
peshtar us ke chāñdnī sī rahī
bahs ham ko na thī manāzir se
yuuñ thā bīnā.ī se Thanī sī rahī
us kā radd-e-amal thā ḳhanjar sā
ishq kahne ko thā anī sī rahī
samt duniyā ke ham ga.e hī nahīñ
us ilāqe se dushmanī sī rahī
kar ke ik qāfila ġhubār ġhubār
raah kuchh der an-manī sī rahī