yakāyak aks dhuñdlāne lage haiñ
nazar meñ ā.īne aane lage haiñ
zamīñ hai muntazir fasl-e-ziyā kī
falak par nuur ke daane lage haiñ
ḳhizāñ aane se pahle bāñch lenā
daraḳhtoñ par jo afsāne lage haiñ
hameñ is tarah hī honā thā ābād
hamāre saath vīrāne lage haiñ
fasīl-e-dil girā to duuñ maiñ lekin
isī dīvār se shāne lage haiñ
kabhī fāqa-kashī dikhlā.egī rañg
isī meñ solahoñ aane lage haiñ