hue ham be-sar-o-sāmān lekin
safar ko kar liyā āsān lekin
kināre zad meñ aanā chāhte haiñ
utarne ko hai ab tūfān lekin
bahut jī chāhtā hai khul ke ro leñ
lahak uTThe na ġham kā dhaan lekin
ta.alluq tark to kar leñ sabhī se
bhale lagte haiñ kuchh nuqsān lekin
tavāzun aa chalā hai zehn-o-dil meñ
shikasta haal hai mīzān lekin
bahut se rañg utre bārishoñ meñ
dhanak ke khul ga.e imkān lekin