zahe-koshish-e-kāmyāb-e-mohabbat
hamesha rahe ham ḳharāb-e-mohabbat
sukūn-e-mohabbat jo mumkin nahīñ hai
baḌhā dījiye iztirāb-e-mohabbat
jhukī jā rahī haiñ vo ma.asūm nazreñ
diyā jā rahā hai javāb-e-mohabbat
bilā-vāsta ham se āñkheñ milāo
rahe darmiyāñ kyuuñ hijāb-e-mohabbat
tirī bazm jannat thī lekin karūñ kyā
uThā le gayā iztirāb-e-mohabbat
na tarsā na tarsā mohabbat ke saaqī
pilā de pilā de sharāb-e-mohabbat
hue haiñ vo jis din se nārāz 'sherī'
taraqqī pe hai iztirāb-e-mohabbat