hañgāma hai na fitna-e-daurāñ hai āj-kal
har samt sham-e-amn farozāñ hai āj-kal
sunñe meñ aa rahe haiñ masarrat ke vāqi.āt
jamhūriyat kā husn numāyāñ hai āj-kal
jo ġhuncha hai vo apne tabassum meñ mast hai
jo phuul hai bahār-ba-dāmāñ hai āj-kal
nazroñ meñ iztirāb na dil meñ koī khaTak
kāñToñ se paak sehn-e-gulistāñ hai āj-kal
muddat ke ba.ad aayā hai āzādiyoñ kā lutf
afsurda hai na koī pareshāñ hai āj-kal
ab ahl-e-kārvāñ kā bhaTaknā bahāl hai
ḳhud mīr-e-kārvāñ hī nigahbāñ hai āj-kal
jis anjuman meñ jaate na the pahle ahl-e-dil
'sherī' us anjuman meñ ġhazal-ḳhvāñ hai āj-kal