Muslim Ansari

aaj bazm-e-naz mein wo intishaar-e-naghma hai

Muslim Ansari

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1920
aaj bazm-e-nāz meñ vo intishār-e-naġhma hai
sāz-e-dil kī har sadā nā-sāzgār-e-naġhma hai
mere sāz-e-ġham se duniyā hī nahīñ hai muztarib
vus.at-e-kaun-o-makāñ bhī sogvār-e-naġhma hai
dast-e-rañgīñ meñ kisī ke aa gayā phir sāz-e-dil
merā har tār-e-nafas phir be-qarār-e-naġhma hai
us ko aa.egī nazar kyā ḳhaak tasvīr-e-alam
jis ke dil kā aa.ina pur-az ġhubār-e-naġhma hai
jab se shāmil ho ga.ī hai naġhmagī-e-sāz-e-dil
merā naala ġhairat-e-kaif-e-bahār-e-naġhma hai
kaash hotā 'muslim'-e-rañgīñ navā-e-shauq bhī
aaj kā māhaul kitnā sāzgār-e-naġhma hai
Top Urdushayar.com