Muslim Ansari

gulshan mein phul khilte hi sad-chaak ho gae

Muslim Ansari

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1920
gulshan meñ phuul khilte hī sad-chāk ho ga.e
rañgīn hādse the alamnāk ho ga.e
daur-e-subū-o-jām chalā mai-kade meñ jab
ham be-niyāz-e-gardish-e-aflāk ho ga.e
dekhā jo merā hāl-e-zabūñ shām-e-intizār
apne to apne ġhair bhī namnāk ho ga.e
saaqī ye terā faiz-e-karam hai ki mai-gusār
bebāk the hī aur bhī bebāk ho ga.e
bād-e-sabā ko zid hai ki kyuuñ ḳhaak bhī rahe
mar kar jo kū-e-yār meñ ham ḳhaak ho ga.e
ye inqilāb-e-vaqt kā e.ajāz dekhiye
ahl-e-junūñ bhī sāhab-e-idrāk ho ga.e
achchhā huā jo 'muslim'-e-dīvāna chal basā
qisse to dār-o-gīr ke ab paak ho ga.e
Top Urdushayar.com