Sheri Bhopali

soz-e-alam se dur hua ja raha hun main

Sheri Bhopali

Agra, Uttar pradesh, India

1914-1991
soz-e-alam se duur huā jā rahā huuñ maiñ
vo to jalā rahe haiñ bujhā jā rahā huuñ maiñ
mānūs-e-iltifāt huā jā rahā huuñ maiñ
dekh ai nigāh-e-nāz miTā jā rahā huuñ maiñ
jalvoñ kī tābisheñ haiñ ki allāh kī panāh
rañgīñ tajalliyoñ meñ ghirā jā rahā huuñ maiñ
ye aate jaate hai nigah-e-ġhaiz kis liye
le aaj tere dar se uThā jā rahā huuñ maiñ
rāhoñ se āshnā huuñ na manzil-shanās huuñ
le jā rahā hai shauq chalā jā rahā huuñ maiñ
kaifiyyat us nigāh kī hamdam batā.ūñ kyā
ik mauj hai ki jis meñ bahā jā rahā huuñ maiñ
yā ibtidā-e-ishq meñ ġham mere saath thā
yā ġham ke saath saath chalā jā rahā huuñ maiñ
kyā chiiz hai naved-e-rihā.ī ki ham-nafas
jaise qafas samet uḌā jā rahā huuñ maiñ
merī tabāhiyoñ pe zamāne ko rashk hai
tum to miTā rahe ho banā jā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com